Rang Badaltay Hain

Rang Badaltay Hain
Poetry Book By Safina Mehr

Monday, 30 March 2015

* Kya Khabar Thi Iss Chaand Ki Roshni...!


Thursday, 19 March 2015

* Sochon Pe Pehray Bithatay Huway...

*
Sochon pe pehray bithatay huway
Aaya tha wo muskuratay huway

Phoolon se khushbu chura le gaya
Jo aaya tha kanay bichatay huway

Teri zuroorat nahi zindgi ko
Roti hoon khud ko batatay huway

Hathon pe kya ye rang laey gi
Dekh lena tha mehndi lagatay huway

Apna muqadar to sehra Mehr
Kiun socha nahi aazmatay huway

Safina Mehr

Wednesday, 18 March 2015

* Likhnay pe aaey hain kiya kijiay...!

*
Likhnay pe aaey hain kya kijiay
Wada hi koi wafa kijiay

Jo tujh se mili hai rah-e-wafa
Usi ko chaliay rasta kijiay

Bohat aitbar honay laga hai
Phir se koi dagha kijiay

Safina Mehr

Sunday, 15 March 2015

* Udasi Ghir K Aati Hai...!



*

Udasi Ghir K Aati Hai...!




Meray ghar k aangan me

Jab bhi koi thandi sham utarti hai

Jab bhi hawaen aasman ki neelgoon wusat se

Badlon k sang jhoomti hain gungunati hain




Udasi ghir k aati hai




Jab bhi sooraj wapsi ka safr kerta hai

Jab bhi chaand badlon ki ot se jhilmlata hai

Sitaron ka jhurmat khilkhlata hai




Udasi ghir k aati hai




Jab bhi kisi zarkhaiz badal se

Pani ki boonden

Mera aanchal bhigoti hai




Udasi ghir k aati hai






Jab bhi koi geet khushi ka gungunata hai


Dheemi si hansi k sath


koi mudhar qehqaha khnakhnata hai


Qafas me koi apnay paron ko pharrphrrata hai






Udasi ghir k aati hai






Dhoop dhalay teri yad ki aawargi


Ik saey me dhalti hai


Ye saiya meray dil k sutoonon se lipat ker bain kerta hai


To aankhen aansuon se bheeg jati hain


Tab...udasi ghir k aati hai


Udhoori sham muskurati hai






Safina Mehr





* Kab Se CharahGari K UmeedWaar Baithay....


*
Kab se charahGari k umeedwar baithay
Wo aa k chal diay hum ser-e-rahguzar baithay

Din ka azab guzra to shab qiamat aan thehri
Saf-e-ehtsaab me hain beQrar baithay

Sooraj ka tulu ho to kabhi roshni bhi utray
Aey kirn-e-aaftab hai tera intzar baithay

Uthaya tha ik qadam jisay manzil ka ameen jana
Isi bhool k hain ab tak sazawar baithay

Wo khuwab jo her nai umeed ka guman tha
Usi khuwab ki zameen pe hain beAitbar baithay

Sehra ho, sumandar ho k apna junoon ho
Jis safar pe bhi niklay zindgi haar baithay

Safina Mehr

* Phir Raat Ka Ye Su mandar Hai...



*
Phir raat ka ye sumandar hai
Ik halchal lehron andar hai

Tareeki hai,serd hawa hai
zaat bhi apni khandar hai

Safina Mehr

Monday, 9 March 2015

* Raen Andheri Lamba Safar Hai...


*
Raen andheri lamba safar hai
Sathi saheli na hi shajar hai

Raat katay gi janay kesay
Din kab niklay kis ko khabar hai

Wo jo manzil ban baitha hai
Koi manzil ya to bhanwar hai

Khoon k deep jalaey hain
Roshan lekin kis ka ghar hai

Os ko pakarr k os se poochoon
Kya aisa hi haal udhar hai

Wo jo apni aankh me roshan
Koi sach ya khuwab nagar hai

Koi panchi gir na jaey
Mehr ab k khatan safar hai

Safina Mehr

* Na Dar Hai, Na Dareecha, Na Hi Rozan Koi...!

*
 Na Dar Hai, Na Dareecha, Na Hi Rozan Koi...!

Zindgi Teray Zindan Main Yuonhi Sham Hui...

Safina Mehr

* Jaag Rahay Hain Soey Nahi Hain...

*
Jaag rahay hain soey nahi hain
Lekin phir bhi roey nahi hain

Aaj waqt hai hath me apnay
Haath abhi tak dhoey nahi hain

Hon jin ki tabeeren namumkin
Wo sapnay sanjoey nahi hain

In ko safar ki gard bana do
Dukh jo abhi proey nahi hain

Mehr fasal mili jo aaj paki
Aisay beej to boey nahi hain

Safina Mehr

* Teri Khamshi Bhi Ik Sawal Hai


*
Teri Khamshi Bhi Ik Sawal Hai
Jo apnay liay to wabal hai

Hum jesay khush khyalon ko
Teri khudGharzi bhi misal hai

Jisay zindgi samajh k jeetay thay
Faqt khuwab wo ik khyal hai

Tera biccharrna to lazim tha Mehr
Kiun iss qadar ye mlal hai

Safina Mehr




Saturday, 7 March 2015

* SAATHI...!


*
 SAATHI...!

Ehsass k hathon pe
Teray sath jo guzra hai
Dukh sukh ka wo her lamha
Teray dil pe thehra hai
Iss bechain sumandar me
Kisi ruktay huway lamhay me
Toofan jo koi
Phir jab bhi aaey ga
In beetay huway lamhon ki
Phir yaad dilaey ga
Apni lehron pe behtay
Wo pal dikhlaey ga
Iss zeest k sehra me
Wo rukta huwa lamha bhi
Anmol ho janay ki
Phir aas lagaey ga

Safina Mehr

* TU YUOON NA MERAY SATH CHAL...!

*
 TU YUOON NA MERAY SATH CHAL...!

Meri ibtdai guzarshen
Kuchh bhi asar na ker sakeen
Me ne tujh se kaha tha meray sathi!
Na zameen pe na behar me hoon
Na zindgi ki lehr me hoon
Ik umr se me safar me hoon
Sirf aik ghar ki talash me
Me mudaton se bhanwar me hoon
Tu yuoon na meray sath chal
Tu yuoon na mera sath de
K meray wujood ki khushk mitti pe
Teray lams ka koi naqsh
Jo naqsh-e-rah-e-wafa banay
To me rasta na badal sakoon
Teray hijr ka jo daur ho
Usi daur se na nipat sakoon
Tujhay me ne ye kaha tha sathi!!

Tu yuoon na meray qareeb aa
Na iss siah rah-e-naseeb aa
K meray badan k mausmon ko
Kisi hawa ne chhua nahi
Na youn barishon ki phawar la
Na yuoon koi nai bahar la
K phir kabhi na koi mausam
Meray ji ko bha sakay
Lo aaj dekho ye kya huwa
Iss safar ka
Koi rasta na badal saka
Her aik dareecha hi band huwa
Me thehar saki, na chal saki
Meray jism k jazeeray per
Her naqsh-e-wafa yuoon jam gaya
Na khurach huwa, na pighal saka
Me ne tujh se kaha tha meray sathi...!
Tu yuoon na meray sath chal
 Tu yuoon na mera sath de...!!

Safina Mehr


* AISI RATEN TO KAI AAEN GI...!



*
 AISI RATEN TO KAI AAEN GI...!

Haan aey meray humsafar
Aisi raten to kai aaen gi
Jab apni khuwahish k fusoon se
Badan ki kmaan tootnay lagay gi
Jab apnay hi dil k lahu se
Apnay kirdar k murdah tan me
Ik nai jan bhartay bhartay
Ik tamazat bharay din ka aaghaz
Phir se karen gay
Apni aankhon me aansu bharen gay
Magar in sumandron k kinaray
Sada beNishan hi rahen gay
Hum tasleem to ker len apni hi haar lekin
Haar k bhi jeet ka dam bharen gay

Hum ne seekha hi nahi tha
Daman ko jhatakna
Magar kya karen k
Guzartay waqt ki sari haden hi
Simatati chali ja rahi hain
Aur hum
Lamha-e-maujood k iss bhanwar me
Ji rahay hain
K jahan saans bhi
Mushkil se rah dhoondti hai
Jahan aawaz bhi ubharnay se pehlay hi
Damm torrti hai
Aur humen qafs dar qafs
Jeenay k isi dhong me
Marnay ki sarhad tak
Younhi jeetay rehna hai
K bahir ka qafs shayd koi torr dalay
Magar hum me
Chitakhni giranay ki himmat nahi hai
K andar ka qfs apnay bus me sahi
Phir bhi bus me nahi hai
Haan! aisi raten to kai aaen gi...

Safina Mehr

