Rang Badaltay Hain

Rang Badaltay Hain
Poetry Book By Safina Mehr

Saturday, 25 April 2015

* Bichhartay Waqt Ki BadGumani Kamal Rakhti Hai...


Tum Aao Agar To...!


* Jeetay Nahi K Mer Jaen Gay...



* Khud Se Ho Door To Na Munfail Sachai Ker...


* Me Kiun Tum Se Door Hui....!


* Me Tujhay Apnay Hathon Se Giraun Kesay...


* Mulk O Millat Pe Ye Kesi Ibtla Hai...!


* Jin Se Palat Ker Na Aya Karay Koi...


* Iss Murdah Tann Pe Teray Pyar Ki Barish...


* Khuwab...!

*

KHUWAB...!

Jalti aankhon k jaltay khuwab
Aur in khuwabon me bhi
Jaltay huway arman hi muqadar hain k
Na hi haqeeqten roshan hain
Aur in hi haqaiaq ka andhera
Khuwabon k muqadar me bhi likha gaya hai
K in jalti aankhon ki
Yehi saza hai
Jo mili hai in ko
Roshan khuwabon ki padaash me
In ko to yeh bhi haq nahi
K wo haqiqton se mubbara
Chand Lamhay!
Roshan khuwabon ki rafaqat me guzar len
Apni jalan ko sukoon k chhentay maar len

Safina Mehr