*
Rang Badaltay Hain..!
Rang badaltay hain
Suna tha,dekha tha
Parkha,aazmaya tha
Rangon ki qurbat se mil ker
Sooraj ki hiddat se
Ya
Kisi baham tasadam se
Rangon ka badalna fitrat hai
Aur ye fitrat bhal mehsos hoti hai
Insan ki fitrat insaniat thehri
Yehi Raza-e-Rabbaniat Thehri
Insan fani,rang-e-insaniat laFani
Yehi socha,yehi samjha
Yehi barta,yehi mana
Yehi paya
Magar ik waqt aisa bhi aaya
Iss rang ko bhi badla huwa paya
Bohat behlaya khud ko,bohat phuslaya
Magar ik aankh na bhaya
Rang-e-insaniat ko
Zarf-e-insaniat se girta huwa paya
Magar jab waqt ne hum ko aazmaya
To samajh ye dair se aaya
Humara rang humari dastras main hai
Ye hum ko nahi lekin
Hum iss ko badaltay hain
Hum insan hain magar insaniat se nahi dartay
Hum Raza-e-Rabbaniat se nahi dartay
Safina Mehr
No comments:
Post a Comment