Rang Badaltay Hain

Rang Badaltay Hain
Poetry Book By Safina Mehr

Sunday, 11 January 2015

* Ab Lafzon Me Rawani Nahi Baqi Koi...!



*
 Ab Lafzon Me Rawani Nahi Baqi Koi.
Jesay iss dil ki kahani nahi baqi koi

Iss rah se guzray hain to dekha hai
Pichlay safar ki nishani nahi baqi koi

Fursat nai shumaren sood-o-zyaan
Ab khuwahish ki grani nahi baqi koi

SAFINA MEHR

* Saleeb-e-Zindgi Se Kab Koi Utar Paya...!

*
 Saleeb-e-Zindgi Se Kab Koi Utar Paya

BeBasi Apni Lab Pe Sawal Rakhti Hai

SAFINA MEHR

* In Badlon K Daman Me Apnay Naam Ki Koi Boond Nahi...!

*
In Badlon K Daman Me Apnay Naam Ki Koi Boond Nahi...!

Aey Dasht Teri Piyas Pe Bus Aik  Aks-e-Aab Khatam Huwa

SAFINA MEHR

* GULABB...!




* GULABB...!

Dil k lahu me doob ker
Shaakh-e-Miyyah ki nok per
Kesa haseen gulab khila
Khushbu ki chadar orrh ker
Dil ka lahu nachorr ker
Gulab tha k aab tha
Ik haseen sa khuwab tha
Khuwab k sraab tha
Sraab ya azaab tha
Meri aankh ki seep me
Jo guhar na ban saka
Aur wafa k baagh me
Kisi haseen pairr per
Barg-o-samar na ban saka

SAFINA MEHR


* FaceBook Per Tauheen-eRasalat...!


* FaceBook Per Tauheen-eRasalat...!

RUKH-E-MUHAMMAD se brRukhi na barten gay
Hum esi beFaiz zindgi na barten gay

Nahi hai ye muthammil OS NOOR-E-MUJASSAMM ki
Ye aankhon walay roshni na barten gay

Koocha-e-dil me ik talatum hai bapa
In hawaon se beRukhi na barten gay

SAFIBA MEHR

Friday, 9 January 2015

* Dekho Meri Orrhni Jal Gai...!



*
Dekho meri orrhni jal gai
Yoon laga her khushi jal gai

Sawan ki chah main
piyas hi apni jal gai

Chaand aik lamhay ko roshan huwa
Her ik roshni jal gai

Os ne yoon rukh ko morra
aankh ki beHissi jal gai

Yaad rakhnay ka takaluf hai kesa
Bhoolnay baithay zindgi jal gai

Aansuon ne yoon dil ko jalaya
In labon ki hansi jal gai

SAFINA MEHR

* Tark-e-Khuwahish Ka Bharam Rehnay Day...!

*
Tark-e-Khuwahish ka bharam rehnay day
Yaad-e-Dost ye nazr-e-karam rehnay day

Umeed k dhokay me naey khuwab na dikhla
Iss aankh me naqsh naqsh-e-alam rehnay day

Raat k aanchal me nahi koi sitara
Ik jaltay diay ka hi bharam rehnay day

Teray zarf k paiymanay ki hadd janti hoon
Naey rang me koi naya janam rehnay day

Meray lehjay ki tappash jhulsa day gi tujhay
Meray hathon me bus mera qalam rehnay day

Naheen muntazir ab koi ser-e-koocha-e-daar
Tu apni wafaon ka alam rehnay day

SAFINA MEHR

* Apnon Se Daman To Bachaey Nahi Jatay...!

*
Apnon se daman to bachaey nahi jatay
Youn kabhi taluq to nibhaey nahi jatay

Lehjon me dar aata hai andar ka her aakss
Ye wo aainay hain jo dhundlaey nahi jatay

Dil me ho dard to bhi  ho lab pe tabasum
Ye wo daur hain jo bhulaey nahi jatay

Apnay andar ana bhi hai khudi bhi lekin
Ye rog dil ko lagaey nahi jatay

Apnay gulshan ki mehak ker yaron ko wadeeat
Ye phool kabhi murjhaey nahi jatay

Her ghalat ko bhi  sahi sunenay ki hai  aadat
Hum se to youn harf-e-ghalat duhraey nahi jatay

Bohat shauq tha tujh ko hisabon me ulajhnay ka
Ab insaf k taqqazay kiun nibhaey nahi jatay

SAFINA MEHR


* Tappash...!

*
TAPPASH...!

Dheemi dheemi aah ye kesi tappash hai
Shamma ki lau bharrak rahi hai
Ya shayad
Geeli lakrri sulag rahi hai
Raat ki madham tareeki me bethi
Me soch rahi hoon
Ye shamma hai ya me jal rahi hoon

SAFINA MEHR

* Dil Me Khazaan Utar Rahi Hai...!

*
Dil me khazaan utar rahi hai
Bahar phir se guzar rahi hai

Jiwan me ik rut aai thi
Jiwan bhar jo amar rahi hai

Waqt ki her ik ada se larrna
Khuwahish beSamar amar rahi hai

Me hoon faqt rastay ka pathar
Mujhay sada ye khabar rahi hai

Din to beeta palak jhapaktay me
Raat der pe thehar rahi hai

Jiwan bhar me aik hi din hai
Raat usi se mukar rahi hai

Ashk chraagh bana to meri
Dil beenai sanwar rahi hai

SAFINA MEHR


* Teray Sath Ka Aitbar Chahiay...!


*
Teray sath ka aitbar chahiay
Dil-e-BeQrar ko qarar chahiay

Aey aur phir na jaey kaheen
Hum ko esi ik bahar chahiay

Jeena teray sang sang teray marna
Hum ko her gharri apna yar chahiay

Doobnay ko bhi tayyar hai Safina
Ya KHUDA isay TU humkinar chahiay

BeSabab nahi udas shaam apni
Her shaam ko tera intezar chahiay

Ajab daur ho wo Mehr zindgi ka
Jab zindgi humen bar bar chahiay

SAFINA MEHR