Rang Badaltay Hain

Rang Badaltay Hain
Poetry Book By Safina Mehr

Monday, 2 February 2015

* Dil-e-Nashaad Ko Aabad Kya Kartay...!

*
Dil-e-naShaad ko aabad kya kertay
Teray janay k bad tujhau yaad kya kertay

Lahu rang hueen aankhen apni
Labon se ab faryad kya kertay

Arz-e-Tamana se kuchh hasil nahi
Iss dil ko nashaad kya kertay

Apnay zakhmon ki bharPai nahi
Inhen dard se aazad kya kertay

Safina Mehr

* Zindgi Bazar-e-Tamanna Me Liay Phirti Hai...!

*
Zindgi bazar-e-tamana me liay phirti hai
Kaun janay ye chaak giryban siay phirti hai

Dawa hai, madaw, na hi marham koi
Daam hai, dard hai, dharrka sa diay phirti hai

Kuay janan se jo lautay hain be neel mraam
Jeetay hain kahan hasrat si jiay phirti hai

Dil-e-beemar ne beChain kia phir se
Ye dharrkan kya jaam piay phirti hai

Anjam apnay safar ka bhi Mehr ho ga koi
Her shab yuoon to sehar sath liay phirti hai

Safina Mehr

* BaWafa Ko Bhaya Hai BeKhabar Hona...!

*
BaWafa ko bhaya hai beKhabar hona
Muntazir hum ko magar her pehar hona

Puranay raston pe chalnay k liay
Zuroori hai naya humSafar hona

Mausam bhi nazren badal raha hai
Bhaya hawaon ko pas-e-asar hona

Guzar rahi hai guzar hi jaey gi
Hai zindgi ko younhi basar hona

Sahil ki umeed liay safeenon ka
Doob jana hai beMehr hona

Safina Mehr

* Waqt Ka Behta Darya Hai...!

*
Waqt ka behta darya hai
Doori ka ye sehraa hai

Tapti rait hai paon talay
Sar pe dhoop ka sehra hai

Neend to koson door kharri hai
Pass tera hi chehra hai

Door jao gay tum mujh se
Yeh keh k phir chherra hai

Dheeray se ye hath to rakh do
Phir dil ko dard ne jakrra hai

Kiun andheron me rehti hoon
Me to tu hoon, tu to mera hai

Safina Mehr

* Tujh Se Kahan Khafa Hoon...!

*
Tujh se kahan khafa hoon
Tujh se to me juda hoon

Tu aaey to mehkay aangan
Me bhi dard se riha hoon

Chamken ufaq pe taray
Me teray rukh ki zia hoon

Tu lafzon ki malaa jo proey
Me hi harf-e-mudea hoon

Tu hathon ko jo uthaey
Me hi teri dua hoon

Safina Mehr

* Mayusion Ko Meri Ikk Hajab Bhejna...!

*
Mayusion ko meri ik hajab bhejna
Ye kab kaha tha hijr ka azab bhejna

Srab-e-dasht ki qismat ko saja de
Umr k sehra pe aisa ik sahab bhejna

Andesha-e-dil ko jo meethi neend sula de
Dayar-e-khayal me wo silsila-e-khuwab bhejna

Her lafz me raqm meri zaat ka adraaak
Kitab-e-zindgi me aisa aik baab bhejna

Aansuon me tera aks na beh jaey
Tum ye gohr-e-nayaab tah-e-aab bhejna

Safina Mehr

* Ussay Apna Banaya Tha Bohat...!

*
Usay apna banaya tha bohat
Humen jis ne rulaya tha bohat

Kesay chhorren ye tera daman
Jisay rukh pe giraya tha bohat

Wohi rang chehray ka unwan thehray
Jinhen khud se chhupaya tha bohat

Konplen phir bhi magar phoot aaeen
Apni khuwahish ko dabaya tha bohat

Nami aankh me honton pe hansi hai
Ab k yaron ne hansaya tha bohat

Chalo rastay se bhatak jaen Mehr
Iss rah pe dil ko jalaya tha bohat

Safina Mehr

* Inn K Sarhanay Zor Se Na Bola Kero Mehr...!


*
In k sarhanay zor se na bola kero Mehr
Khuwabon ki band aankhen na khola kero Mehr

Dabay qadmon chalnay se aahat ruk nahi pati
Siskion ko aansuon me na ghola kero Mehr

Teray dil ka lahu hai zindgi iss ki
Ab itna sach bhi na bola kero Mehr

Kaun iss shehr me hai tera humZuban
Lafzon ko mitti me na rola kero Mehr

In gharon me darwazay nahi diwaren hain
Tum in k sath ser na phorra kero Mehr

Habss zadah fiza me jeenay k wastay
Takhayul ki khirrkian khola kero Mehr

Safina  Mehr

Sunday, 1 February 2015

* Me Hoon To Bheegi Nazar Me Hoon...!

*
 Me Hoon To Bheegi Nazar Me Hoon...!

Mera aisa koi dhayan na tha
Mujhay tujh pe koi gumaan na tha
Meri dastras me thi jo khushi
Me ne wo to tujh pe waar di
Teri dastras me jo sukoon tha
Wo mera hareem-e-jaan na tha
Me ne khud hi to os ko kho dia
Anjam-e-safar me ro dia

Me ne bohat taweel safar kia
Her aik andeshay ko ser kia
Me ne khud ko bohat musar kia
Zindgi k rastay per
Chand lamhon k wastay
Tha ik parrao ko ghar kia
Meri zeest k kuch usool thay
Me ne un se sarf-e-Nazar kia
Sirf teri khushi k wastay
Os me apni khushi k wastay
Me ne wo kia jo kia na tha
Jo kabhi socha na tha

Me thi phir se yehi bhool gai
Me phir usi dagar pe thi
Jahan chand lamhon ki aarzu
jahan chand sanion ki justju
Ik taweel safar ka khyal bani
Humesha ji ka wabal bani

Bhala meray muqadar me kya khushi
Bhala meray rastay me kya saybaan
Me to sada se beAmaan
Me to sada se beMakaan
Mera haq hai abla pai sada
Mujhay younhi to chalna hai sada
Phir bhi ye bhool hui sada
Me raston ki dhool hui sada

Phir bhi me safar me hoon
Phir bhi!
Me safar me hoon
Zindgi k asar me hoon
Isi aik madd-o-jazar me hoon
Me hoon agar to kahan hoon me
Me hoon to bheegi nazar me hoon!

SAFINA MEHR

* Phir Raat Ka Ye Sumandar Hai...!

*
 Phir Raat Ka Ye Sumandar Hai...!
Ik Halchal Lehron Andar Hai

Tareeki Hai Serd Hawa Hai
Zaat Bhi Apni Khandar Hai

SAFINA MEHR

* Taaq-e-Aarzu Pe Ab Koi Gunchah Nahi Rakha...!

*
Taaq-e-Aarzu Pe Ab Koi Gunchah Nahi Rakha...!

Puranay Mausmon Se Keh Do Ab K Khali Hath Jana Hai

SAFINA MEHR

* Apnay Shanasa Hi To Madd-e-Muqabal Niklay...!

*
 Apnay Shanasa Hi To Madd-e-Muqabal Niklay...!
Jo maseeha thay wo chehray hi qatil niklay

Falak ko chhuti thi jin k dawon ki bulandi
Kohsar wohi zarf me batil niklay

Me ne kab tum se koi haq manga tha
Tum to apnay farzon se b hi ghafil niklay

Ruswai-o-barbadi k k iss lambay safar se
Tumhen tafreeq jo ker doon to kya hasil niklay

SAFINA MEHR