Rang Badaltay Hain

Rang Badaltay Hain
Poetry Book By Safina Mehr

Friday, 27 June 2014

Zindgi Ki Ik Nai Sehr Chahiay

*
Zindgi ki ik nai sehr chahiay
MEHR hum ko tulu-e-mehr chahiay

Her andesha-e-gham ko jo meethi neend sula de
Waqt k sehra me aisa pehr chahiay

Umeed jo rakhi hai aaj bhar aey wo kabhi
Chashm-e-nam ko ik nai dehr chahiay

Her bhanwar se door le jaey jo SAFINA
Lab-e-sahil ab to wo lehr chahiay

Talatum-e-roz-o-shab sada beMehr thehra
Ya RUBB ab to sakoot-e-behr chahiay

SAFINA MEHR

Thursday, 5 June 2014

Haal Poocha Hai K Waar Kia Ho Jaisy

*
Haal poocha hai k waar kia ho jaisay
Koi teer seenay k iss paar kia ho jaisay

Khuwahish dil k biyabaan main bhatakti hai
Tu ne ruswa issay her baar kia ho jaisay

Rang-e-Wafa bhi koi rang ho jaisay
Jis ne urrnay pe issrar kia ho jaisay

Sab apnay apnay muqadar k makeen hai
Zindgi ne koi iqraar kia ho jaisay

Kahaan dhoonden Mehr jo chehray kho gaey
Waqt ki dhool ne sab humwaar kia ho jaisay

Safina Mehr

Sham Ho Ya Subhu K Bazaar Dekhna

*
Shaam ho ya subhu k basaar dekhna
Deedah-e-ter k sadaa aasaar dekhna

Lafzon k phoolon main lehjon k teer thay
Gulab thay ya nok-e-khaar dekhna

Bhula dia to aap ki khuwahish na thi huzoor!
Phir kiun khafa hain serkaar dekhna

Khuwabon ki jagah aankh main garrhay parray huway
Beenai chhin gai hai os k waar dekhna

Maqtal ki raah k sab shajr ro parray
Jis dhaj se aaey hain yar dekhna

Saafina Mehr

Monday, 2 June 2014

Sood-o-Zayan Ka Kab Ye Hisab Rakhti Hai

*
Sood-o-Zayan ka kab ye hisab rakhti hai
Muhabbat to muhabbat hai zarf-e-sahaab rakhti hai

Munafqat na phailao zer-e-libadah-e-maslhat
Her kahani apna apna nisab rakhti hai

Wo kirchian inhi aankhon main chubh jaen gi
Barrdi chah se jin main wo khuwab rakhti hai

Khoon-e-dil khudi ki maot zindgi iss ki
Muhabbat ye jo chehrah gulab rakhti hai

Her naey mausam ko rag-o-pae main samo le
Kab tabiyat ye zarf-e-injzab rakhti hai

Aey munsifo! dekho, suno, kuchh to kaho!
Katehray main kharri aurat jawab rakhti hai


Mehr kya kahay tujh se safr-e-aarzu ka muddea sahil
Ye kashti wo hai jo moj-e-payaab rakhti hai

Safina Mehr

Saturday, 31 May 2014

Khul K Aksar Wohi Roya Ho Ga

*
Khul k aksar wohi roya ho ga
Chain jis kisi ne bhi khoya ho ga

Neend meri chura k aankhon aankhon se
Hijr ki shab bhi wo soya ho ga

Hum ne kati hai fasl kanton ki
Phool jab bhi kabhi boya ho ga

Dhanak rangon se phir bhatak ker
Ye dil teergi main goya ho ga

Janti tujhay kis hawalay se Mehr
Her rang main naya roop samoya ho ga

Safina Mehr

Thursday, 29 May 2014

Yakhh Mausamon Ki Thandak Main Aanch Na Luta Baitho

*
Yakhh mausamon ki thandak main aanch na luta baitho
Saey ki talab main dekho dhoop na hata baitho

Teergi k khdashay main beZameen se rastay per
Khuwab k sumandar main khuwab na mita baitho

Her phool k muqadar main bikharna to hai ik din
Khuwahishon ka koi bhi na gulistan saja baitho

Taiz roshni ki khuwahish beenai na mita dalay
Ye na ho kisi din tum roshni k rastay per teergi bichha baitho

Toofanon ki zadd main kinaray doob jatay hain
Sahilon ki khuwahish main safina na baha baitho

Safina Mehr

Wednesday, 28 May 2014

Kya Hai Aur Ab Kya Hona Chahiay

*
Kya hai aur ab kya hona chahiay
ImShab to meri jan sona chahiay

Hanstay huway jab thaknay lago to
Khul k aksar rona chahiay

Safar main nahi sahil zurooori
Kabhi rastay ko khona chahiay

Tumharay haal ki hu ko khabar hai
Khabar ko beKhabar bhi hona chahiay

Janay kiss morr per ho samna
Lehjay main koi khanjar hona chahiay

Saiya to Mehr apni qismat main naheen
Koi khuwahish to lekin bona chahiay

Safina Mehr

Hawa Mujh Se Ye Kehti Hai...!

*
Hawa Mujh Se Ye Kehti Hai...!

Hawa mujh se ye kehti hai
Kiun sogwar baithay ho?
Aao meray sath chalo!
Tujh ko naey main rang dikhlaun
Zeest k sanchay main dhalay
Aur hi tujh ko dhang dikhlaun
Tum apnay dukh ko bhool jao gay
Main tum ko wo rahh sujhaun
Jis pe chaltay logon k
chehray per ik zardi khanddi hai
Un k hathon main shamen
Chehray pe lekin teerah shabi hai
Un k daman geelay hain
Labon pe lekin piyas kharri hai
Tum khud se bahir jhank k dekho
Dekho main bhi pass kharri hoon
Mera koi ghar hi nahi
Jis dar pe aa thehroon main
Mera koi dar hi nahi hai
Jis ghar se bhi guzroon main
Os ko apna ghar janoon
Jis dar pe bhi aa thehroon main
Os ko apna dar manoon
Chaltay chaltay latt uljhaun
Younhi kisi ka aanchal chherrdoon
Pat jharrd ki rut aa thehray to
Barg-o-Samar ka dil behlaun
Sookhay patton ko le ker
Naey nagar ki sair karaun
Khushi ki kalian kaheen khili hon
In kalion ka chehra choomoon
Apni darBadri ka matam
Main na janoon main na sochoon
Mujh se dukhi to aur bohat hain
Un ko hansaoon
 Khudd bhi ro doon?
Meri khushi to teri hansi hai
Chalo hanso tum!
Main pankh hilaoon

KHUD BHI HANSOON AUR SAB KO HANSA DOON

Safina Mehr





Tuesday, 27 May 2014

Diya Na Mila To Dil Jalaen Gay...!

*
Andheron Ki Rajdhhani Main...!

Diya Na Mila To Dil Jalaen Gay...!!

Safina Mehr

Suna Hai Mausam Bahar Hai...!

*
Suna Hai Mausam Bahar Hai...!

Suna Hai Mausam Bahar Hai!
Anjam Hai K Aaghaz Hai?

Rut badli ehsas nahi
kis aarzu ka khumae hai
Sabhi mausmon se qataa nazar
ye taba-e-nasaaz hai

Suna Hai Mausam Bahar Hai...!

Yaan sheesha-e-dil hi to choor hai
Waan patharon ko naaz hai
Ik teer hai os kaman main
Na aar hai to na paar hai

Suna Hai Mausam Bahar Hai...!

Main hoon mera khyal hai
Yehi bersar-e-pekar hai
Na koi humnafass na mera wujood
Na hi aks aiyna daar hai

Suna Hai Mausam Bahar Hai...!

Tu ne qufl-e-jaan kab kholay thay
Ab kis ka intezar hai
Mujhay kya khabar aey beKhabar
Tu aduw hai ya k yaar hai

Suna Hai Mausam Bahar Hai...!

Wohi main hoon ye makaan wohi
Phir ye dil kiun beQraar hai
Paon talay hain musaften
Aur rastay ka ghubar hai

Suna Hai Mausam Bahar Hai...!

Safina Mehr




Mujhay Muhabbat K Safinay Pe Safar Kerna Hai...!

 
*
Main Tujhay Apnay Hathon Se Giraun Kesay
Tu Pathar Hi Sahi Tujhay Chot Lagaun Kesay

Mujhay Muhabbat K Safinay Pe Safar Kerna Hai...!
Main Nafrat Ki Hawaon Ko Chalaun Kesay

Safina Mehr

Sunday, 25 May 2014

Rangon Ki Rim Jhim Main Aankhen Ganwa Daleen...!

*
Rangon Ki Rim Jhim Main Aankhen Ganwa Daleen...!

Ye Badla Huwa Mausam, Shaur-e-Zaat Ka Mausam...!!

Safina Mehr

Main Sumandar Nahi Safina Hoon...!

*
Jan-o-Dil To De Diyay Tum Ko
Matt Wo Mang Jo Meray Buss Main Naheen

Main Sumandar Nahi Safina Hoon...!
Iss Ki Gehrai Meri Dastrass Main Naheen

Safina Mehr

Main Ne Jab Bhi Kisi Phool Ko Chhoona Chaha...!

*
Main Ne Jab Bhi Kisi Phool Ko Chhoona Chaha...!

Khushbu Hi Meray Rastay Ki Deewar Hui

Safina Mehr

Chaand...!

*
Chaand...!

Jharokay main apni aarzu k
Phir aik naya chaand aa k thehra hai
Roshni ki naweed le ker
Damak raha hai, chamak raha hai
Magar hain ye aankhen manoos teergi se
Hazaar raten, hazaar subhen
Kati hain jin ki beBasi se
Nai musafat se qadam hain lerzaan
In ki aahat main chhupi hai jaisay
Aablah pai ki beHissi si
Nazar uthao, qadam barrdhao
Dil to yeHi chahta hai
Isay to loota her kisi ne
Phir bhi kab ye manta hai...!

Safina Mehr

Saturday, 24 May 2014

Dekho Meri Orrhni Jal Gai...!


*
Dekho meri orrhni jal gai
Yoon laga her khushi jal gai

Sawan ki chah main
piyas hi apni jal gai

Chaand aik lamhay ko roshan huwa
Her ik roshni jal gai

Os ne yoon rukh ko morra
aankh ki beHissi jal gai

Yaad rakhnay ka takaluf hai kesa
Bhoolnay baithay zindgi jal gai

Aansuon ne yoon dil ko jalaya
In labon ki hansi jal gai

Safina Mehr

Jiwan Sathi Door Gaya Hai...!

*
(Apni Mmaa G k Liay 2002 Main Liikhi Gai Aik Nazam...)

Jiwan Sathi Door Gaya Hai...!

Jiwan sathi door gaya hai
Mujh ko tanha chhorr gaya hai

Her pal os ko yad kerun main
Kis kis se faryad kerun main
Dil ki lagi ko dil hi janay
Kesay din se raat kerun main

Jiwan sathi door gaya hai
Mujh ko tanha chhorr gaya hai

Aag lagi hai jiwan main
Bandhay thay aisay bandhan main
Bhoolay se bhi bhool na paey
Din guzray jo aangan main

Jiwan sathi door gaya hai
Mujh ko tanha chhorr gaya hai

Kali serd thitharti raten
Bin kangan k meri banhen
Darwazay ko takti aankhen
Tera rasta takti hain

Jiwan sathi door gai hai
Mujh ko tanha chhorr gaya hai

Dukh sukh ka wo sathi tha
Mera sangi sathi tha
Dhoop ho ya chhaon ghani
Her mausam ka sathi tha

Jiwan sathi door gaya hai
Mujh ko tanha chhorr gaya hai

Youn lagta hai saray rastay
Her pal mujh se kehtay hain
Tanha chalna theek nahi
Hum sath tumharay chaltay hain

Jiwan sathi door gaya hai
Mujh ko tanha chhorr gaya hai

Koi khushi ho k dukh ki gharri
Main hoon sab main tanha kharri
Aa k dekho meray sathi
Main hoon kis mushkil main parri

Jiwan sath door gaya hai
Mujh ko tanha chhorr gaya hai

Safina Mehr


Thursday, 22 May 2014

Khuwahishon Ko Dosh Detay Hain

*
Khuwahishon ko dosh detay hain
Chahton ko dosh detay hain

Jo khud manzilen badal gaey
Raston ko dosh detay hain

Musafton ki kulfton se ghabraey
Faslon ko dosh detay hain

Khud jo yara nahi sanbhalnay ka
Maey Kadon ko dosh detay hain

Sahilon pe aa k doobnay walay
Panion ko dosh detay hain

Safina Mehr

Wednesday, 21 May 2014

Sapnay Dikha K Beenai Cheen Li

*
Sapnay dikha k beenai chheen li
Hum e humari paspai chheen li

Khushi jugnu ki tarah muthi se urr gai
Umeed ki kiran bhi herjai chheen li

Lab-e-Darya bhi tishna labi sath chali
Sahil pe pani ki shehnai chheen li

Naik namon me bhi na huwa apna shumar
Aur hum se humari ruswai chheen li

Hum Safar kertay rahay Mehr chaltay rahay
Manzil ki hum se aashnai chheen li

Safina Mehr

Takmeel...!

*
Takmeel...!

Bin tamanaon k

zindgi udhoori hai

iss udhooray mausam main

Bohat lambi doori hai

Sath khuwabon k shayad

safr ye bhi kat jaey

Dar hai lekin ye

Tabeer na bikhar jaey

Safina Mehr

Rang Badaltay Hain...!

*
Rang Badaltay Hain..!

Rang badaltay hain
Suna tha,dekha tha
Parkha,aazmaya tha
Rangon ki qurbat se mil ker
Sooraj ki hiddat se
Ya
Kisi baham tasadam se
Rangon ka badalna fitrat hai
Aur ye fitrat bhal mehsos hoti hai
Insan ki fitrat insaniat thehri
Yehi Raza-e-Rabbaniat Thehri
Insan fani,rang-e-insaniat laFani
Yehi socha,yehi samjha
Yehi barta,yehi mana
Yehi paya
Magar ik waqt aisa bhi aaya
Iss rang ko bhi badla huwa paya
Bohat behlaya khud ko,bohat phuslaya
Magar ik aankh na bhaya
Rang-e-insaniat ko
 Zarf-e-insaniat se girta huwa paya
Magar jab waqt ne hum ko aazmaya
To samajh ye dair se aaya
Humara rang humari dastras main hai
Ye hum ko nahi lekin
Hum iss ko badaltay hain
Hum insan hain magar insaniat se nahi dartay
Hum Raza-e-Rabbaniat se nahi dartay

Safina Mehr



Rafaqat...!

*
Rafaqat...!

Roshnion k shehr main

Andheray hi muqadar huway

kK hum sathi thay

Inhi andheron k

Aur Khuda ko

Dard-e-hijr manzoor na tha...!

Safina Mehr

Sardak...!

*
Sarrak...!

Zindgi apni
Apnay shehr ki sardkon jesi
Aik sardak hai
Zameen ki aaghosh main
Waqt ki gerd se atay
Khuwahishon k pathar hain
Inhi patharon pe chaltay hain
Raat din sisaktay hain
Aur phir ye kehtay hain
Zindgi apni
Apnay shehr ki sardkon jesi
Aik sardak hai

Safina Mehr

Eid...!

*
Eid...!

Eid iss se zyada to kabhi kuchh nahi lati
Ik beKali jo dil ki hai musalsal wo bardhti jati

Hum  ne to dekha hai humesha yehi silsila-e-aamd-o-raft
Dard ko hadd se barha k phir se eid hai guzar jati

Safina Mehr

Zindgi Hai Apni Aazab Soorat

*
Zindgi hai apni aazab soorat
Jesay kho baitha hai khuwab soorat

Subhah k ujalay utartay hain
Aankhon main apni raat soorat

Main khud ko kesay bachaun iss se
Ye aandhi uthi jo sahab soorat

Tumhen aaj dekha to aisa laga
Tum to koi ho sraab soorat

Tumhen jo chaha to youn laga tha
Muhabat hai apni shahab soorat

Mera kho jana tumhen dukhi na ker de
Zindgi me teri main nsaab soorat

Apni aanayton meray zakhmon ka jo shumar kero
Dekhna kho na de ye hisaab soorat

Safina Mehr


Jashn-e-Aazadi...!

*
Jashn-e-Aazadi...!

Chragh main ne bhi chand jlaey hain

Kuchh beNaam umeedon k naam

Kuchh gai hasraton k madfan per

Safina Mehr

Ye Kya Ho Gaya...!

*
Ye Kya Ho Gaya...!

Dekhtay dekhtay ye kya ho gaya
Humen saath le ker koi kaheen kho gaya

Baam-o-dar se magar chandni na gai
Chodhween raat ka chaand dhal to gaya

Sath meray sada yad os ki rahi
Dasht-e-tanhai me chhorr ker jo gaya

Safina Mehr

Galay Lag Ker Roen Gay

*
Galay Lag Ker Roen Gay

Galay lag ker roen gay
Dukh apnay dhoen gay

Main aur meri tanhai
ImShab na soen gay

Daman to apna khali hai
Ab hum kya khoen gay

Jis k phal dunia khaey gi
Wo shajr-e-Muhabat boen gay

Neend ki shehzadi ko galay laga ker
Ab sapnay naey sanjoen gay

Safina Mehr

Dair...!

*
Dair...!

Khuwahish pe teri
Safar pe tumharay
Chali thi main saath
Main barhnaa pa
Ser pe thi chadar karri dhoop ki
Paon main parray aablay to bohat
Lekin kabhi koi phoota nahi tha
Kuchh khar chubhay
Sab phoot gaey zer-e-pa aablay
Tum door huay
Mujhay dair huwi

Safina Mehr

Dostt...!

*
Dostt...!

Khuwahishon k nagar ki
Sab khuwahishen tumharay naam

Duaon k safar ki
Sab manzilen tumharay naam

Chahton k ghar ki
Sab chokhaten tumharay naam

Safina Mehr

Jo Apna Tha Wo Ab Prayaa Huwa

*
Jo Apna Tha Wo Ab Prayaa Huwa

Jo apna tha wo ab praya huwa
Bujh gaya jo dia tha jalaya huwa

Khud beSamar tha humen kya wo deta
Ser-e-rah shajar ik lagaya huwa

Nichhawar kiay thay jazbay humeen ne
Wo kab dhoop main tha chhaya huwa

Hum jo alm-e-wafa thay uthaey phiray
Ser-e-manzil mila teray hathon jalaya huwa

Ab naheen koi khuwahish,iradah bhi koi
Na hi koi dilassa dilaya huwa

Mehr muhabat ka jazba hai kiun muztarib
Kiun utheta hai her shab sulaya huwa

Safina Mehr

Humm...!


*
HUMM !

Rah-e-Aarzu mr huay khaak hum
Na naseeb phir bhi zameen hui
Kabhi iss dagar, kabhi os dagar
Kabhi iss nagar, kabhi os nagar
Sabhi raston pe rawan huway
Per hawa ki hadd me nihan huway
Kahan zindgi se chhup sakay
Koi ik gharri bhi na ruk sakay

Humm!!

Jo naqab lagana chahtay thay
Kya churana chahtay thay?
Faqt ik gharri, Faqt ik qayam
Faqt ik muqam,Faqt tera naam!!

( Safina Mehr )

Jagna Aankhon Ki Riazzat Thehri


*
Jagna aankhon ki riazat thehri
Zindgi beLutf aabadat thehri

Teri Aankh me raqsaan k nahi apna hunar
yehi apnay honay ki zamanat thehri

rastay me chhorr i hoon khyalon ka hujoom
zindgi khuwabon k muqadar ki amanat thehri

Yeh sab teray honay ka fusoon tha k
Her raah me kho janay ki aadat thehri

Khuwahish k dreechay me koi chaand na utra
neend ki aankhon me to sooraj ki tamazat thehri

Iss safr-e-musalsal ki koi hadd ho Mehr!
Apnay paon talay wohi beNaam musafit thehri

( Safina Mehr )

Jabeen-e-Sang Pe Pathar Na Barsao

*
Jabeen-e-Sang Pe Pathar Na Barsao

Jabeen-e-sang pe pathar na barsao
Jo ho sakay to dil se dil milao

Bohat aasan hai nafrat ko hawa dena
Ger mumkin ho muhabat ko aazmao

Na kero gila dunia ki naShanasai ka
Ye kahan janti hai wafa k bhaid bhao

Adheron ki shikast lazim hai dosto
Diay se dia to zara tum jalao

Farq to yehi hai na lenay aur denay ka
Chalo tum naya zakhm koi phir lagao

Kon si musafat hai jo taey na hui
Qadam to zara tum uthao

Safina Mehr



Sham-e-Wisl...!

*
Sham-e-Wisl...!

Wo shaam-e-wisal thi
Kesi ghardi thi
Hansti gat,shor machati
Qaus-o-Qazah k rang lia
Honton pe raseela pan liay
Apnay soonay aangan main
Roshnion k deep jalaey
Aatay aatay aai thi
Chupkay se wo guzar gai
Apna gehra rang chhord k
Janay phir wo kidhar gai
Apna her saaz-o-aawaz liay
Phir mujh ko tanha ker gai
Phir mujh ko arzaan ker gai

Safina Mehr

Hum Khuwab Gazeedah Hain...!

*
Hum Khuwab Gazeedah Hain...!

Hum khuwab gazidah hain
humen neend main rehnay do

Ye rasm baidari ki
Humen raas nahi aati
Koi khuwahish jinay ki
Ab pass nahi aati

Hum khuwab gazidah hain
humen neend main rehnay do

Beenai jurm thi
So chheen liay manzir
Iss aankh ki basti main
Ab raat hi hai her pal

Hum khuwab gazidah hain
humen neend main rehnay do

Iss zehr-e-hlahal ka
Nasha hai kuchh aisa
Aab hi lagta hai
Sab kuchh sraab jaisa


Hum khuwab gazidah hain
humen neend main rehnay do

Safina Mehr

Apni Kitab-e-Zeest Ka Aik Baab Khatm Huwa

*
Apni Kitab-e-Zeest Ka Aik Baab Khatm Huwa

Apni kitab-e-Zeest ka aik baab khatm huwa
Hum jis main doobay rahay wo sraab khatm huwa

Hum jis ko zindgi samajh k jeetay thay
Muddat se rawan wo silsila-e-khuwab khatm huwa

Koi shikwah-o-shikayat ka ye muqam nahi
Ab tujh se mera her hisab khatm huwa

Badilon k daman main apnay naam ki koi boond nahi
Aey dasht teri piyas pe ik aaks-e-aab khatm huwa

Khuwab koi aankhon main raqsan na tha kabhi
Youn apni her aarzu ka shbaab khatm huwa

Zindah hain magar zindgi youn mit gai Mehr
Joon toofan ki zadd pe ik habaab khatm huwa

Safina Mehr

Tuesday, 20 May 2014

Jhanjhar...!



*
JHANJHAR...!

Mera dil chahta hai

Me apnay lafzon ko

Teray paon ki jhanjhar bana daloon

Tu chalay to ye ghunghru

Apnay manon ki dhun pe

Teray dil k saray hi sur chhairr den...!

( Safina Mehr )

Kitnay Dukh Os Ki Ikk Zaat Se Wabastah Thay

*
Kitnay dukh os ki ik zaat se wabastah thay
Aansu k phir bhi hijr ki raat se wabastah thay

Daikh jo mausam tu ne mujhay bakhshay thay
Sabhi to wo barsat se wabbastah thay

Ab to sabz mausam main bhi haray ho nahi patay
Wo pairrd jo teri yadd se wabasta thay

Meray buss main na tha os k iradon ko palatna
Aur os k waday to jazbat se wabastah thay

Main teray taaqub main kahan tak nahi pohnchi
Yehi rastay to meri maat se wabastah thay\

Honton pe aaey bhi to kab muatbar thehar paey
Wo lafz meray jo manajaat se wabastah thay

Hain meray mohsin teray ehsaan bohat
Wo bhi jo uzr-o-Mufadaat se wabastah thay

Kesay mil jatay zamanay k talatum main humen
Apnay sukh bhi to halaat se wabastah thay

Safina Mehr

Phir Ikk Choolha Phata...!

*
Phir Ikk Choolha Phata...!

Lo phir ik choolha phata
Lo aaj jali phir aik sakhi
Choolha to naya tha
Lekin os ka rog purana
Na hath main kangan
Na kaan main balaa
Na peeth pe koi banglay wala
Sass nanddon ko gehnay milay
Na shohar huwa hai garri wala
Husn k gehnay lakh sahi
Aur piyar k moti baish baha
Per peet ki boli piya na janay
Aur na samjhay os ka susral
Her ik ki apni hi khuwahish
Her aik ka apna janjal
Per 6 behnon ka bawa kangal

Aur lo phir ik choolha phata!

Kal ik choolha aur bhi ho ga
Aur jalnay wali ka rog purana
Hai koi jo os ki sunay
sahib, serkar ya hi zamanah

Safina Mehr

Ajnabi Manzilon Ki Koi Soorat Nahi

*
Ajnabi manzilon ki koi soorat nahi
Lakh apnay dilon main kudoorat nahi

Nazren jhuka ker na baten kero
Wazahton ki humen to zuroorat nahi

Shaam k hathon main raat k silsilay hain
Raat bin subhu ki soorat nahi

Jab chaho gay khelo gay torr do gay
Main koi matti ki moorat nahi

Sooraj nikalna zuroori hai lekin Mehr
Aasman k jhrokay main poorab naheen

Safina Mehr

Koi Mlaal BeWajah Nahi Hota


*
Koi mlaal beWajah nahi hota
Jeena muhaal beWajah nahi hota

Qurbaten bhi doorian mehsoos hoti hain
Ye haal beWajah nahi hota

Taluqaat ki deewar me drarren
Ye jaal beWajah nahi hota

Aana ki deemak kha gai makinon ko
Jazbon ka kaal beWajah nahi hota

Os ki beAetnaion ka sog kab talak
Urooj ho k zawal beWajah nahi hota

Qadam ukhrray Mehr saans ab talak qaiam
Manzilon ka wisaal beWajah nahi hota

( Safina Mehr )

Hum Pe Ilzam BeWafai Ka

*
Hum pe ilzam beWafai ka
Ye unwan hai naRasai ka

Sulagti raakh main nahi baqi
Koi bhi lamha aashnai ka

Kesay roken agar rokna chahen
Ye rasta teri judai ka

Hum ne mana hai jan rakha hai
Dawa un ki parsai ka

Teri aadat se waqaf hoon
Nahi gila kaj adai ka

Chahat ki bheek ye nahi mangay
Dil kassah nahi gadai ka

Dost jan k tujhay chup hai Mehr
Yehi matlab hai beNawai ka

Safina Mehr

Roshni...!

*
Roshni...!

Tareeki k saey main

Bojhal Pan ki chadar orrday

Bheegi lekin piyasi aankhen

Janay kab se

Tera rasta dekh rahi hain

Safina Mehr

1* Dua...!

*1
Dua...!

Meray dard ko dawa De Aey Khudaya
Apni masihai ki jaza De Aey Khudaya

Zindgi main youn to kuchh bhi nahi rakha
Mmaa ki duaon ko ziya De Aey Khudaya

Qatra hoon behr se milna to hai mujhay
Qatray ko muhlat-e-safa De Aey Khudaya

Teri khalqat bilak rahi hai teerah shabi main
Isay Tu lutf-e-saba De Aey Khudaya

Ye dard sirf mera hi dard to nahi hai
Her beDard ko izn-e-dua De Aey Khudaya

Dast-e-charahGari ki taqweem hai agar to
Isay Tu paigham-e-shafa De Aey Khudaya

Hai Tujh se talib sakoon-e-jan ki khalq-e-ashraf
Iss k aibon ko aaba De Aey Khudaya

Tu jo bhi Aata ker main serNigoon hoon
Meri duaon ko dast-e-rasa De Aey Khudaya

Safina Mehr


Saturday, 17 May 2014

Tabsrah....Nasim Sheikh


Ameer-e-Shehr Ne Bhi Kaghaz Ki Keshtian Banteen...!

*
Aaina tha aur patharon ki zadd pe tha
Sara shehr jab zalzalon ki hadd main tha

Ameer-e-Shehr Ne Bhi Kaghaz Ki Keshtian Banteen...!
Sahal bhi jab sumandron ki zadd main tha

Safina Mehr